Desi Gharelo Totkay in Urdu that are used since Human Civilization. Home Base Remedies.................... ٹوٹکےٹوٹکے ٹوٹکے کچن ،بیوٹی ،گھریلو وغیرہ وغیرہ وغیرہ

LightBlog

Breaking

Friday, 10 October 2014

Azmooda Desi Totkay


Azmooda Desi Totkay


Common Bemarion Ka Ilaaj




High blood pressure:

Is say nijaaat k liye rozana sonay se pehlay 1 tea spoon pissa hoa zeera saaday pani ke saath kha liya krain kuch dinnon main high blood pressure bilkul theek ho jae ga.

Qabaz door karna:

Is k liye thori c sabaz hareer lay ker iskey chilkay utaar k pees lain phir shehad me mix ker k chnay k braber goliyaan bna lain hr khanay k saath 3 goliyaan tazay paani k saath khaliya karain.

Sugar ka ilaaj:

5 Badaam ki giryaan peec lain phir in main 1 lemo ka rus mila ker nihar moonh  kha lein 20 din me sugar ka merz khatm ho jay ga.

Dil ki ghabrahat:

Is k liye nihar moonh apple ,carrot ka halwaa istemal krain yeh sab  doodh k saath istemaal krain.

Neend na aana:

Is maslay k liye 2 choti ilaichi moonh me rakh k chabain aur thori dair me neend aa he jay gi.

No comments:

Post a Comment